Jio Phone Se Paise Kaise Kamaye
Namaskar dosto, jaisa ki aap sabhi jaante hain, Jio Phone aaj ke samay mein sabse zyada prachlit phone hai. Yeh behad hi kam daam mein kaafi zyada features pradaan karta hai.
Is phone mein WhatsApp, Facebook, YouTube, Google adi ka upyog aasanai se kar sakte hain. Saath hi ismein online moovies bhi dekh sakte hain. Kya aapne kabhi socha hai ki kya Jio Phone se kamaai bhi kiya ja sakta hai? Yadi nahi, to hum bata dein ki Jio Phone mein bahut se features uplabdh hain. Isi wajah se in sabhi features ki madad se paise bhi kamaya ja sakta hai. Aur uske liye kya karna hai, is article mein hum wahi sabhi jankari ko step by step dene wale hain.
Agar aapke paas bhi Jio ka keypad phone hai ya phir lene ki soch rahe hain, to yeh article aapke kaafi kaam aane wala hai.
Is Post Mein Aap Jaane Wale Hain:
- Jio Phone Kya Hai?
- Jio Phone Se Paise Kamane Ke Tarike
- YouTube Se
- Facebook App
- Jio Chat Se
- Blogging Karein
- WhatsApp Se
JIO PHONE KYA HAI?
Yeh ek keypad phone hai jo 4G network ke saath aata hai. Is phone ko Reliance Digital Company dwara launch kiya gaya hai. Ismein bahut se shandar features uplabdh hain jaise – WhatsApp, YouTube, Google, JioChat, JioTV, JioSaavn, WiFi, Bluetooth ityadi. In sabhi features ka upyog Jio Phone mein aasani se kar sakte hain.
Yeh ek aisa Phone hai jo kam daam mein adhik features pradaan karta hai aur is mobile ki maang Bharat mein bahut hi adhik hai. Jo vyakti mehange mobile phone nahi kharid pata hai, woh Jio Phone ko kharid kar zyada se zyada features ka istemal karta hai. Is phone ko 21 July 2017 ko launch kiya gaya tha jo launch hote hi tezi se lokpriy hone laga.
JIO PHONE SE PAISE KAMANE KE TARIKE
1. YOUTUBE SE
Jio Phone mein YouTube app uplabdh hai jismein aap apna Channel bana kar YouTube se paise kama sakte hain.
- Iske liye sabse pehle aapko ek Category chunna hai jismein aapko Interest hai.
- Ab apna ek naya Channel banana hai aur uska naam apne Category se related hi rakhna hai.
- Jab Channel ban jayega, fir us Category se related roz Video upload karna hai.
- Uske baad jab Channel par achha khaasa watching aane lagega, tab aap apne Channel ko monetization ke liye apply kar sakte hain.
- Iske kuch YouTube ke privacy policy hain jinhein follow karna hai. Saath hi monetization karne ke liye 4000 hours ka watch time aur 1000 subscribers ki bhi avashyakta hogi.
- Jab Channel monetize ho jayega tab paise kamaya ja sakta hai.
2. FACEBOOK APP
Yeh ek online social media platform hai jismein photo, video share kiye ja sakte hain. Saath hi apne doston ke saath chat aur video call ke madhyam se baat chit bhi kar sakte hain.
Agar aap Jio Phone user hain to aapko pata hi hoga ki Facebook bhi is phone mein uplabdh hai. Ismein aap apna ek Facebook page bana sakte hain aur us page ko grow karke accha khaasa paise kama sakte hain.
- Iske liye Jio Phone mein Facebook app ko open karna hai.
- Open ho jane ke baad apna ek naya account bana lena hai.
- Jab account ban jayega to apna ek professional page banana hai.
- Iske baad page par daily content share karte jaana hai.
- Jab page mein achha khaasa members ho jayega tab sponsership, promotion adi se paise kama sakte hain.
- Uske saath hi haal hi mein Facebook ne apna monetization features bhi launch kar diya hai jiske kuch guidelines hain. Jinhe follow karke ads ke zariye bhi paise kama sakte hain.
3. JIO CHAT SE
Agar aap Jio Phone ka upyog karte hain, to Jio Chat ke baare mein to jaante hi honge. Ismein referral ka bhi vikalp uplabdh hai, jiska labh aap le sakte hain. Matlab aap apne doston ko refer karke aasani se paise kama sakte hain.
- Iske liye sabse pehle apne Jio Phone mein JioChat app ko download karna hoga.
- Download kar lene ke baad app ko open karna hai.
- Iske baad apna Jio number daal kar account banana hai.
- Uske baad aapko apne refer link share wale vikalp par jaana hai.
- Fir aap WhatsApp, Facebook, YouTube mein refer link ko share kar sakte hain.
- Uske baad jitne bhi log us app ko download karke account banayenge, to aapke JioChat wallet mein amount jod diya jayega.
4. BLOGGING KAREIN
Agar aap likhne ka shauk rakhte hain, to apne Jio Phone se blogging kar sakte hain. Iske liye aapko Blogger par jaakar apne niche se sambandhit ek blog banana hoga. Uske baad aapko apne category se sambandhit article publish karna hoga.
Dhyhan rahe ki article spasht aur informative hona chahiye, jisse article jaldi hi index aur rank ho. Jab website par organic traffic aane lagega, to aap Google AdSense ke liye apply kar sakte hain.
Jab approval mil jayega, to aap Google AdSense se paise kama sakte hain. Dhyhan rahe ki Google AdSense ka approval pane ke liye aapko kuch privacy policy aur uske kuch guidelines ka palan karna anivarya hai.
Is tarah aap bina koi paisa kharch kiye apne Jio Phone ke madhyam se Blogger par ek blog bana sakte hain.
5. WHATSAPP SE
Agar aap apne Jio Phone mein WhatsApp ka upyog karte hain, to hum aapko bata dein ki aap apne WhatsApp se paise bhi kama sakte hain. Iske liye aapko kuch steps follow karne honge.
- Sabse pehle apne mobile number se ek WhatsApp account banana hoga.
- Jab account ban jayega, to ek group banana hoga, jismein jitne zyada member ho sake utne zyada add karne honge.
- Jab group mein achha khaasa member ho jayega, to aap sponsorship, promotion, product sell adi karke paise kama sakte hain.
- Dhyhan rahe, haal hi mein WhatsApp ne apna channel feature bhi launch kiya hai, jismein aap zyada member ko add kar sakte hain.
- Is tarah se aap Jio Phone mein WhatsApp ke zariye bhi paise kama sakte hain.
FAQ – JIO PHONE SE PAISE KAMANE SE JUDE 4 SAVAALON KE JAVAB
Q1. Kya sach mein Jio Phone se paise kamae ja sakte hain?
Ans. Ji haan, bilkul, Jio Phone se paise kamaana thoda mushkil wala kaam hai, lekin iske zariye sach mein paise kama sakte hain.
Q2. Kya Jio Phone mein WhatsApp ka upyog kiya ja sakta hai?
Ans. Ji haan, bilkul, yeh ek aisa Phone hai, jismein WhatsApp ka upyog kiya ja sakta hai.
Q3. Kya Jio Phone se Live Cricket Match dekh sakte hain?
Ans. Ji haan, bilkul, is Phone mein Jio TV uplabdh hai, jiske zariye Live Cricket Match dekh sakte hain.
Q4. Kya Jio TV ka istemal karne ke liye paise lagte hain?
Ans. Aap Jio TV ka upyog free mein bhi kar sakte hain, lekin kuch premium content hain, jinke liye subscription lena anivarya hai.